Maa to jannat ka phool hai. Pyar karna us ka usool hai. Duniya ki muhabbat fazool hai. Maa ki har dua kubool hai. Maa ko naraz karna insan teri bhool hai. Maa ke kadmo ki mitti jannat ki dhool hai. Maa ki mumta kaun bhulaye, Kaun bhula sakhta woh pyaar, Kis tarah bataun kaise ji rahae hum, Tu toh baitee pardesh mein, Gale tujhe kaise lagaun, Lekin bhej raha hae pyaar ish sms mein, Tera betta meri pyari maa Maa ki 1 dua zindagi bana degi. khud roey gi magar tujhko hansa degi. Kabhi bhool k b Maa ko na rulana. Tumhari ek galti poora arssh hila degi. Maa Teri Yaad Satati Hai, Mere Paas Aa Jaao Thak Gaya Hoon, Mujhe Apne Aanchal Mein Sulao Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao Neend Apni Bhula K Sulaya Hum Ko Aanson Apnay Gira K Hansaya Hum Ko Dard Kabhi Na Dena Un Hastiyon Ko Ishwar Ne Maa Baap Banaya Jinko. Maa bina Zindagi Viran hoti hai. Tanha Safar mein har Rah Sunsaan hoti hai. Zindagi mein MAA ka hona Zaruri hai. MAA ki Duwaon se hi har Muskhil Aasaan hoti hai. Maan ki baat jaan le jo, Aankhon se parh le jo, Dard ho chahe khushi, Aansoo ki pechan kerle jo, Wo hasti jo bepanna pyaar kare, Maa hi to hai wo jo bacho ke liye jiye. Maa to jannat ka phool hai, Pyar karna us ka usool hai, Duniya ki muhabbat fazool hai, Maa ki har dua kubool hai, Maa ko naraz karna insan teri bhool hai, Maa ke kadmo ki mitti jannat ki dhool hai Kisi ne mujh se pucha.. ki jinki maa nahi hoti unke baccho ko dua kaun deta hai.. Maine kaha ki: Koi jheel agar sookh bhi jaye to mitti se nami nahi jati.. isi tarah maa marne ke baad bhi apni aulad ko dua deti rehti hai. Jane kabse soya nahi hu main, sula do maa, Aakar mere pas muje fir se loriya suna do maa, Ansoo meri ankho mein jam se gaye hain, Bhar ke dil mera mujhe ab rulaa do maa, Bhuka hu main tere pyar bhare niwale ka, Apne hatho se ek niwala khila do maa Kese kese dard deke duniya rulane lagi h muje Aanchal me leke muje inse nijah dila do maa Koi nai h mera ye ehsaas dilane lagi h duniya Thamkar hath apne hone ka ehsas dila do maa